Tha wo khwab ya thi haqueekat,
Ye batana kuch mumkin nhi lagta.
Burke k peeche chupi,
Un do kanji aankho k nazrane se,
Na jane ye dil kyo nhi hat ta..
Harj to hame b tha
Harj to unhe b tha,
Wo kuch keh nhi sakte the,
Hum kuch kar nhi sakte the.
Sirf unhe hi nahi,
Harj to un aankho ko b tha,
Ki chamakta hua sa ek chand ,
Gulab si mehki bandisho me tha.
Ek bar ki bat h,
Roshan si kuch rat thi,
ek jheel jhilmila rahi thi.
Aun un aankho ka noor,
Us jheel ki si tasweer bana rahi thi.
Burke k jharokhe se,
Uski aanko se meri aankhe jo mili,
Sharma gae ham,
Sharma gai wo,
Aur hontho pe uske, aisa aga mujhe,
Jaise koi hasi khili.
Chand b kuch kam roshan tha us rat,
Uska chehra jo burke ki aad me chupa tha.
Kehte h wo,
Chand roshan h sooraj ki roshni se,
Kehta hu main,
Uske chehre k tilism se,
Das chand bhi roshan ho jate.
Pata to nhi h mujhe,
Par khoobsoorat rahi hogi wo,
Us burke k peeche,
Par kya karu dosto,
Daba hu m bhi,
Duniya ki bandisho ke neeche.
Dukh to use b tha,
Dukh to mujhe b tha,
Kaid thi wo,
Aur dard mujhe b tha.
No comments:
Post a Comment