Tuesday, January 12, 2010

panchi

Duniya ki reet se alag,
Tanha aaawara,
Udne chala ek panchi,
Paagal bechara.
Khwabo ko jeetne wo,
Uncha hi udta chala
Usko yakeen tha k,
Wo paega ek din manjil ko.
Par ayro koi jao,
Us pagal ko samjhao,
Is jag me pana manjil ko,
Aasan nahi h,
Is ruswa ruche jag me,
Koi apna nhi h,
Par usko na sunna tha,
Usko to bas udna tha,
Tar k par jake,
Use khwabo ko paana tha,
Udta chala wo yaro,
Madmast hoke,
Aisi himmat na thi,
K koi usko roke,
Par usko kya pata tha,
Sapno jaisa salona,
Ye jaha nahi h,
Uska uncha ho jana,
Sabko bhata nahi hai,
Use roka na kisi ne,
Par,
Par uske kat diye,
Fir aise gra wo yaro,
Jaise kabhi uda hi na ho,
Par na mode uske yaro,
Sapne tode the,
Khwab uske man me,
Adhure chode the,
Wo to girta hi raha,
Aur hasta hi raha,
Girta hi raha,
Aur hasta hi raha,
Par marte hue bhi yaro,
Wo udta hi raha.

1 comment:

  1. nice .
    Par ayro koi jao,
    Us pagal ko samjhao.
    "yaro koi jao"

    ReplyDelete